Professional mail id kaise banaye

dosto es artical me mein aapko bataunga ki Professional mail id kaise banaye to chaliye suru karte hain

professional mail id kaise banaye

Email aur gmail me kya difference hai.

Sab se phle to mein ye kahunga ki hum kisi bhi person ko mail ke jariye audio,video,pdf and bhut kuch bhej skte hain. Kuch logon ko doubt hota hai ki email aur gmail me kya difference hai.
email ka matlub hota hai electronic mail jise bhut sari website host karti hain. Jaise ki, google host karta hai to wo Gmail ho jata hai, jaise ki xyz@gmail.com . yahoo host karta hai to mail id kuch es trah ki ho jati hai xyz@yahoo.com . ab aapki samajh me aa gya hoga ki gmail aur email me kya difference hai. har ek gmail, yahoo mail, Microsoft mail sab ke sab email hi hain.

Professional mail id kaise banaye.

Me phle hi bta chuka hu ki jo bhi website mail ko host karati hai to uske piche uska nam add ho jata hai. aise hi me ek aiesi website ke bare me batane ja rha hu jo aapke job ke hisab se aapki mail id ko nam degi. For example:
xyz@engineer.com
xyz@lawyer.com

READ THIS:-GOOGLE TEZ UPI APP SE  5 DIN ME 9,000 RS KAISE KAMAYE.

aise hi bhut sari stylish mail id bna skte hain. Aur ye bilkul free hai koi bhi charge nhi hai. aur in sab mail id ko provide karata hai MAIL.COM . ab mein stepwise bataunga ki mail.com par khud ki job ki mail id kaise banayenge. Chahe aap doctor hain ya engineer hain ya kuch aur.

Mail.com par free me account kaise banaye.

mail.com signup form

  • Step 1. Sabse phle Humko mail.com website ko open karna hoga.
  • Step 2. Ab humko FREE SIGNUP par click karna hai.
  • Step 3.Aise hi second name mein bhi dale. For example mera nam THAKUR
  •  Ab GENDER choose kare MALE OR FEMALE.
  • Date of birth fill karne ke baad country INDIA choose kare.
  • Sabse important option DESIRED EMAIL ADDRESS. Es me mail.com par click kar ke apni job ke hisab se choose kar le. Your-name@your-job.com
  • Kuch bhi apne hisab se password type kare aur phir same password re-type kare.
  • Contact email me kisi second person ki mail id fill karen.
  • SECURITY QUESTION me koi ek question select kare aur YOUR ANSWER me kuch bhi answer fill kare. Ye question security reason ke liye pucha jata hai taki koi 2nd person ese use na kar sake.
  • CAPTCHA CODE ko fill karne ke bad I ACCEPT. CREATE MY ACCOUNT par click kar de.


Ab aapki mail id ban kar puri trah se ready hai. login kare aur use kare. Koi bhi help chahiye comment kare. Reply jarur milega 1-2 din ke andar hi.

Post a Comment

0 Comments