paytm merchant account kaise banaye

hello guys mera naam Raja hai aur aaj main aapko is article mein ye bataunga ke hum "Paytm merchant account kaise bana sakte hain" aur uske saath mein ye bhi bataunga ke Paytm merchant account ke kya fayde hote hain   aur Paytm merchant account kya hai 


paytm merchant account kaise banaye


Paytm merchant account Kya Hota Hai

aaj ke Samay Mein Har kisi ke paas smartphone Hai jiske Paas smartphone hai woh mere hisab se  Paytm ke bare mein jarur janata hoga lekin Phir Bhi Main aapko batata hoon Paytm Kya Hota Hai jab India mein demonetisation hua tha tab Paytm ne iska bahut jyada fayda uthaya tha us samay  Paytm logon ki nazar mein Bahut jyada highlight hui thi uska reason tha ki Paytm ke kuch members Market mein shops par jate the Aur Woh unka Paytm merchant account bana kar unki shop ke bahar unka baar code lga dete the jiska matlab ye tha ki agar humne shop se koi product buy karte hain to ham us shop ka QR code apni Paytm app se scan kar ke aasani se payment kar skte hain. Agar Hamari shop Nahi Aur Hamara Paytm account hai to wo Hamara simple Paytm account hai lekin Agar Hamari Koi shop hai aur hum uska account banate hain to wo Hamara paytm merchant account hoga . Ab aapke aasani se samajh mein aa gya hoga ki Paytm merchant account kya hota hai.

Paytm merchant account ke kya phayde hain.

Agar Hum Paytm merchant account ke fayde ki baat kare To sabse Pehle Mere dimag mein yhi aata hai ki aap suppose Kijiye aapke Paas  ATM card nahi hai aur na hi aapke paas cash bhi nhi  hai aur hamko kuch saman buy karna hai to ham kaise karenge simple hai ham shop par jayenge aur Us shop ka QR code apni Paytm app se scan karenge aur payment kar denge.

ab baat aati hai ki hum kyu Paytm merchant account Banaye to Bhaiya meri baat Dhayan se Sun Lo agar aap apni Paytm wallet se bank me paise transfer karte ho tab 3% charge lagta hai aur agar aap Paytm wallet se Paytm merchant account  mein dalte ho to 1 bhi rupya charge nhi lagega .
ab thoda acche se samajhte Hain Jab Hum Paytm merchant account banate hain tab ham apna bank account number add karte hain. Paytm merchant account Banane ke baad Hame apne merchant account ka QR code Mil Jata Hai Jab Koi Hamare QR code scan Karke payment karta hai to Hamare Paytm merchant account mein jo bank account number registered Hai usme 12 ghante baad aapke paise aapke direct bank account Mein Aa Jaate Hain jiska charge hota hai bilkul free. 

Paytm merchant charges kya hai

Agar hamko Paytm wallet se bank account mein paise dalna hain to hum apne Paytm app se apne Paytm merchant account ko scan karenge aur wallet se usme money send kar denge aapke paise aapke bank account me 12 ghante baad 0% charge ke sath aa jayenge matlab ki Paytm Wallet se bank account mein transfer bilkul free hoga to ummid karta hu aapke samajh mein aa gya hoga ki Paytm merchant account ke kya phayde hain.

Paytm merchant account kaise banate hain 

Paytm merchant account banane ke liye sabse Pehle meine jo niche link di hai us link par click Kare 


Jaisi hi aap link click Karenge to aap photo mein dekh Sakte aap ke samne kuch is tarike Ka Page open  Hoga 

paytm merchant account qr code page

ab aap Paytm login karke YOUR QR CODE ke option par click kare.

Ab next page open hote hi ye aapse kuch detail mangega un sabko fill karke submit kar dein ab next page par aapke samne aapke merchant account ka QR CODE aa gya hoga. Iska matlab ye hai ki paytm merchant account successfully ban gya hai.

Note: aapka Paytm merchant account ab successfully Ban chuka hai lekin agar aap Paytm merchant se related koi doubt hai to aap direct "Paytm customer care number" {012033663377 }se baat kar sakte hain . ab ham paytm merchant account trick acche se jaan chuke hain. Agar aapka mere article se related koi doubt hai to aap comment kar ke puch skte hain ...dhanyabad

Post a Comment

9 Comments