free mein blogger pr website kaise banayein

Hello guys mera nam raja jadon hai aur aaj mein aap ko bataunga "free mein blogger pr website kaise banayein" vo bhi bina HTML coding k, aap tension na lein aap paise bhi nhi dena chahte, HTML coding bhi nhi jante ,to es mein mein aap ki help karunga, aap ko bina coding k free mein website banana sikhunga , jis k bare m mein bat kr rha hu use hum blog khte  hain, to ab hum suru krein website kaise banate hain.

free mein website kaise banayein , blogger se website kaise banayein

bina coding aur free website ko jo top m hain vo blogger.com aur wordpress.com host kr te hain, jayada deep mein na jayein bus bahar se hi samajhein, deep mein jana hai to phir to aap ko b.tech krni padegi vo bhi computer science se jis m aap ko sabhi language sikhyenge HTML, JAVA, C plus etc, to ab hum suru krein jitna hum jante hain.

Blogger par blog website kaise banaye in hindi

Blogger.com google ki hi website hai jo free mein website banati hai, ye ek aiesa platform hai jha se aap bilkul free mein upni khud ki website bna skte hain, engineers ne ese itna simple bna diya hai jis se ki kisi ko bhi website banate time koi bhi problem na ho, aap ko sab se phle blogger.com open krna hoga , aap k pas gmail id hona jaruri hai, bina gmail k kuch nhi, website open krne k bad aap ko sign in pr click kr k , aap ko upni gmail id login krni hai, es k bad aap ko jo photo mein de rakha hai vhi follow kr na hai, photo meine es liye upload kiye hain jis se ki aap ko koi bhi problem na ho ske .

Aap ko gmail log in  kr ne k bad ,agar aap se khe to create blogger profile pr click kr na hai, phir aap ko upna nam dalna hai, ab aap ko create blog pr click kr na hai. Agar aap se ye sab nhi puchta to accha hai,es k bad aap photo mein jo de rakha hai use follow krein.

free mein website kaise banayein , blogger se website kaise banayein

free mein blogger par blog website kaise banayein

STEP 1. mein aap ko upni website ka TITLE dalna hai , jaise ki meri website ka title hai (welcome to official website of india se help) hai.

STEP 2. mein aap upni website dalni hai jaise ki meri website indiasehelp.com upne aap aa jayega, ek bat hamesha dhayan rakhe website ke bich mein kabhi space nhi hota hai.

STEP 3. es step mein aap ko upni website ki ability check kr ni hai , ability hone pr hi aap ki website banegi.

STEP 4. aap ko jo template pasand aaye us pr click kr dena hai.aap jis template pr click karenge aap ki website aiesi hi dikhegi.

STEP 5.ab aap ko create blog pr click kr na hai.

Aap ki website ab puri trah se bn kr complete ho gyi hai , ab aap post phir new post pr click kr k post kr skte hain aur upni website open kr k dekh skte hain.


Aap ko kisi bhi trah ki koi bhi problem ho to aap comment box mein comment kr skte hain, humari website ko visit krne k liye dhanyawad.

Post a Comment

0 Comments