Hello guys mera nam raja hai aur aaj mein aap ko es article mein bataunga ki aap ek professional website kiase bna skte hain vo bhi blogger se , uske liye aap ko ek professional theme chahiye , aap soch rhe honge blogger per to kuch hi ginti ke theme hain , aur mujhe un mein se ek bhi pasand nhi hai , mere hisab se ye aap ka sawal jarur hoga , kyoki professional website banane se phle mera bhi yhi sawal tha ki mein upne blog ko VIP , professional kaise banau , aap meri website ko dekh rhe honge ye meine blogger se banai hai but khi per bhi ye nhi likha hua ki powered by blogger ya aur kuch , ye esliye nhi hai kyoki meine upna khud ka theme upload kiya hai , aaj mein es article mein yhi aap ko bataunga ki "Blogger blog ki template kaise change or upload  kare" aur jaisi theme aap chahte hain vo kha se layenge.

Blogger blog ki template kaise change or upload  kare

Blog ki theme ko kyon change kare

mujhe lgta hai ye mera hi nhi mujh jaise bhut sare logo ka sawal hai ki hum blog ka template kyon change kare , hame kya phayada hoga , to bus ab mein aap ko khud se uploaded theme ka kya phayada hai vo bataunga.

  • Sab se phle to agar aap ki koi website ko visit karega to use website ka look dekh ke lagega ki haan yrr ye website mein dum hai jis ne bhi banayi hai bhut mehnat ki hai , aur visiters ko aasani bhi hogi post ko ache se samajhne mein. 
  •  Sab se important , aap bhi bhut mehnat krte hain but website per visiters hi nhi aate ,google se traffic nhi aata uska reason hota hai aap ka blog SEO friendly nhi hai , aap SEO friendly theme choose kare blog ke liye , visiters increase honge.  
  • Blog ka mobile friendly hona jaruri hai uske liye khud ka theme acchi hota hai na ki blogger vala.  Bhut visiters to esliye blog se bhag jate hain , are yrr loading mein itna time le rhi hai ye website to , fast loading ke liye khud ka template accha rhta hai.
  • agar aapke paas paise hain to aap premium theme hi use kare .

Best blogger theme kha se download kare

Read this:-Blog ko yahoo webmaster mein kaise add kare.

Mein aap ko 2 aiesi website ke nam bataunga jha se aap templates download kr skte hain , agar mein upni website ke bare mein batau to meine soratemplates.com se download kiya tha . aap btemplates.com se bhi download kar skte hain.

blog theme kaise upload kare | how to install a blogger theme

  • Sab se phle blogger.com per jaye.
  • Theme per click kare.
  • Sab se upper backup and restore likha hua hai us per click kare.
  • Choose file per click kare.
Blogger blog ki template kaise change or upload  kare

  • Ab aap ko ek bat ka dhayan rakhna hai jab aap ne theme download kiya tha tab vo ZIP file mein tha , esliye ab aap use extract kar de , kyonki bina extract ke file upload nhi hogi.
  • Ab aap ko template mein jakar XML file ko select karna hai ,only XML file, aur upload kar dena hai.
  • Ab layout mein jakar upne hisab se blog ko set kar dena hai.
koi question ho es se related to comment jarur karna . thank you website visit ke liye.